Ye shaayad un abhinetaaon ke liye laabhdaayak ho sakta hai jo teeno maadhyam ka istemaal karte hain ya yoon kahoon ki film, serial aur theatre ke beech daudte rahte hain ya rahna chahte hain ya, behtar ho kahoon ki rahna padta hai. ‘Shaayad’ isliye kyonki ye purnatah meri samajh ki upaj hai…that’s what I feel.
To mudda ye hai ki kya film, serial aur naatak mein abhinay karna ek jaisa hai? Mere khayaal se bhav jo vyakt karna hota hai wo to ek sa hi rahta hai, tarike alag ho jaate hain!! Ye tarike alag hain kyonki teeno maadhyamon ki apni kamiyan aur khubiyan hain. To sabse pahle baat karte hain voice yaani awaaz ki.
Film mein saara zor is baat par hota hai ki aap kaise kisi bhaav ko behtar tarike se, apni awaaz ke zariye bhi abhivyakt karte hain.Yahaan awaaz ke dheeme ya zor hone se koi zyaada fark naheen padta kyonki film jyaadatar ek band hall mein dekhi jaati hai jahaan aap dheemi awaaz ko bhi saaf-saaf sun sakte hain. Mahatvapurna vishay yahaan ye hai ki aap ke dialogues ko dub kiya jaata hai. Is maadhyam mein abhinay karte waqt awaaz ke kam ya jyaada hone se koi zyaada fark naheen padta.
Serial mein aap kisi bhi kirdaar ko nibha rahe hon aapko apni awaaz ko ek level tak rakhna hi hoga. Bahut jyaada emotional hon, aapke saath waala kirdar chahe aapke bilkul paas khada ho, phir bhi aapko loud bolna hoga. Ye is maadhyam ki zaroorat hai jispar dheere-dheere aapki pakad ho hi jaati hai... par thoda mushkil kaam hai! Mushkil isliye kyonki jab actor ko lagta hai ki kisi samvaad ko dheeme se bola jaaye, maaadhyam apko majboor karta hai zor se bolne par. Ek abhineta ko maadhyam ko samjhte hua hi abhinay karna hota hai.
Aur agar naatak ki baat karein to yahaan to aapko ye dhyaan mein rakhna hota hai ki kaana-fusi ( whisper ) bhi aise ki jaaye ki hall mein sabse peeche baitha darshak bhi sun le. Bahut dheema bola to gayi bhains paani mein.
To kabhi sochta hoon ki agar koi is baareeki ko naheen samajh paaye to use bahut saari pareshaaniyon ka saamna karna hota hoga..umeed karta hoon ki ye baariki sabke kaam aaye. Aap se sunkar achcha lagega…isliye dil khol kar apni rai bhejein.
Sunday, September 30, 2007
Saturday, September 22, 2007
Sangeet aur Abhinay...
Kabhi sochta hoon ki sangeet aur abhinay ka itna gahra rishta hai phir bhi abhinay ka koi parameter naheen hai. Kisi gaayak ki gaayaki ko, sangeet ka koi bhi sahi jaankar kah sakta hai ki wo perfect gaa rahaa hai...sur sahi hai ! Parantu abhinay ke saath aisa naheen hai. Sochta hoon aisa kyon naheen hai...aur agar naheen hai to ye achcha hai ya kharaab ? Kisi bhi kalaakar ke abhinay ko aap achcha ya kharaab kah sakte hain parantu danke ki chot par naheen...kyonki parameter hai hi naheen.
Sochta hoon ki kya hum ise scientific vishay bana paayenge ya ye bhi literature, History ya Geography ki tarah hi rahega jiska mulyankan bahut hi subjective hota hai ?
Aap kya sochte hain ?
Sochta hoon ki kya hum ise scientific vishay bana paayenge ya ye bhi literature, History ya Geography ki tarah hi rahega jiska mulyankan bahut hi subjective hota hai ?
Aap kya sochte hain ?
Tuesday, September 18, 2007
Kyon kisi ke liye 'dedut' film to kisi ke liye struggle..
Aksar yahi hota hai...ek behtareen adaakar ya adakaara ke liye. Fark hai to sirf itna ki agar koi star son/daughter hai to it becomes a debut film naheen to yahi sunenge aap 'lage hua hain lagi hui hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)