Yahi sunta aaya hoon, yahi dekhta aaya hoon aur yahi dekh bhi raha hoon... 'Vinaash kaale viprit budhi'. Pichle kuch samay se jo Mumbai mein chal raha hai use dekh kar bahut aahat mahsoos karta hoon.....kahaan aur kab gaaye ya gungunaaye koi ...ki...."saare jahaan se achcha, hindustaan hamara...hum bulbulein hain iski, ye gulsita hamara". Kala ek achuti thee use bhi ganda karne mein lage hain sab....ajeeb sa dar hai sabko....sarkar ko.........sarkaari tantra ko.....suna tha agar koi apne desh ko todne ki koshish karta hai to wo desh-drohi kahlata hai.....jo samaaj ko baantne ki koshish karta hi wo asamaajik tatva kahlata hai......police aur prasasan uspar kadi kaaryavaahi karke samaaj mein rah rahe logon ko vaise logon ke utpidan se bachaati hai............par Mumbai mein ajeeb cheez dekhne ko mil rahi hai....asamaajik tatva ko haath lagaane se police aur prasasan dar raha hai. Burai koi rokne se police dar rahi hai....prasasan ghabra raha hai...........to aam aadmi ki baat sochiye..........ke wo kis duvidha mein hai......nanga.........!!!!!!!!!!! Koi bhi jab chaahe, jaise chaahe.........kisi ko bhi nanga kar sakta hai aur police soch rahi hai ki agar koi kadam uthaaya to aur bhi buri haalat hogi....vinaash ke sampurna lakshan dikh rahe hain...........samaajik patan dikh raha hai.......gunde-mawaali khule ghoom rahe hain aur sammaanit purush maafi maang rahe hain.........ise hi kahte hain Vinaash kaale viprit budhi. Kaal vinaash ka hai isliye sabki budhi viprit chal rahi hai.........Gundon ko darna chahiye to wo ghuleaam gundagardi kar rahe hain.............................police ko samaaj ki rakhsha karne ke liye kadam uthaana chahiye to wo kadam hilaane se bhi dar rahi hai......................aam aadmi jo netaaon ko chun kar bhejte hain taaki wo theek se kaam karen, bheegi billi bane baithe hain....kala aur kalaakar jo do deshon aur samaaj ko jodne ka kaam karte hain unhein hi mohra bana kar unpar prashnachinha lagaya ja raha hai.
Humne pada tha ki apne vyaktitva ko nikhaarne ka ek hi tarika hai ki apni achchaaeyon ko aur nikhaaro taaqi jo burai hai wo apne-aap hi choti ho jaaye par yahaan to dusre ko nichaa dikha kar apne ko bada banane ki koshish ho rahi hai aur pyaari, bholi janata, na jaane, kaise usse khush hoti chali ja rahi hai.
Samaaj ko todna bahut aasaan hai mere dost....kabhi jodne ki koshish kar ke dekho. Marna bahut aasaan hai..kabhi jeene ki koshish kar ke dekho. Bura banna bahut aasaan hai kabhi achcha banne ki koshish kar ke dekho. Khul kar saans lene do. Jiyo aur jine do varna aisa na ho ki film industry hi TATA nano ki tarah Mumbai ko bye-bye kah de.